Famous kala ilam, Black magic specialist in Pakistan Or Kala jadu expert in E...
Aseeb,Saya,Jinaat Or Bandish,Aasebi Bandish.
1. All kinds of serious spiritual problems arising in your
life and family or house, business, flats and factories
will be cured by Master of Masters M.Abu Nu'man with a
special God gifted Power. Make yourselves and your
family and your living FREE FROM ALL KINDS OF EVIL
EFFECTS. REMEDY from All kinds of BLACK MAGIC
Specialist in making evil proof seal for houses and
factories.(Bandish)...Skill/Service Details: An exorcism
is a religious rite for driving Satan or evil spirits out of a
possessed person, place, or thing.
The ritual involves the use of holy Zamzam water,
various prayers, incense, relics, and taweez.
Possession by evil spirits (Jinn) or the Satan and
exorcism
is part of Islamic beliefs since its beginning.
The Prophet Muhammad and his followers expelled evil
beings from the bodies of believers using verses from
the Quran, supplications to Allah, and holy Zamzam
water.This example is related by Ya'la ibn Murah:
I saw Allah's Messenger (peace be upon him) do three
things which no one before or after me saw. I went with
him on a trip. On the way, we passed by a woman sitting
at the roadside with a young boy. She called out, 'O
Messenger of Allah, this boy is afflicted with a trial, and
from him we have also been afflicted with a trial. I don't
know how many times per day he is seized by fits.' He
(peace be upon him) said:
'Give him to me.' So she lifted him up to the Prophet.
He (peace be upon him) then placed the boy between
himself and the middle of the saddle, opened the boy's
mouth and blew in it three times, saying, 'In the name of
Allah, I am the slave of Allah, get out, enemy of Allah!'
Then he gave the boy back to her and said: 'Meet us on
our
return at this same place and inform us how he has
2. fared.' We then went. On our return, we found her in the
same place with three sheep.
When he said to her, 'How has your son fared?' She
replied:'By the One who sent you with the truth, we have
not detected anything (unusual) in his behavior up to
this time. (Musnad Ahmad (vol: 4, p. 170) .
Are you possessed?
There are simple ways to know that, but remember don't
be paranoid, if you have some psychiatric diseases or
other diseases that modern medical science can't cure,
like seeing things or hearing things or suffering from
schizophrenia or epilepsy then you might be possessed;
listen to the Quran for an hour or so each day and if you
faint or start having nightmares or headaches, then this
is a sign that you might be possessed!
Home Blessing - Service
Trouble about Satan or evil spirits? Paranormal activity?
Buying or selling a home?
A house blessing can help with aura/spirit cleansing,
ancestral or generational ghosts and evil spirits visits
using Islamic methods.
Many homes carry residual spiritual effects from
previous or current inhabitants which can be sensed by
prospective buyers. These can be a block to the sale of
a house. Often the sale goes through after a home
blessing service has been performed for
physical/spiritual healing and well-being.
For More information Contact Exorcist AamiL Touqeer
Abbas,
E-mail: amliyat69@yahoo.com
web site: http://www.amliyat.5u.com
Cell: 03239598124.
3. ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
For Urdu Speaking people:
Asalam Alaikum.
Jinat kya hain? jinat ki haqeqat kya hai? is tarah kay
saykron sawalat humaray zehan main atay hain jab hum
is mukhfi makhlok kay mutalik sochtay hain.
Quran pak main jinat ka tarof aak aatishi makhlok kay
tor par karwaya gaya hai. yeh aatishi makhlok kis kayfiat
ki hamil hai? kya hai aur kya nahi hai? is mukhfi
makhlok ki haqeqat ko Biology ya science kay asol wa
kawanin ki kasoti par aaj tak to parkha nahi jasaka hai
aur shayad mostakbil kareeb main bhi is israr tak
humari rasai na hosakay gi kuon kay jinat nami makhlok
jis namona hayat ki mazhar hai, kam az kam aaj kay
taraqi yafta dor ka insan to is ka aadi nahi hai chinachay
yeh keh kar kay science yeh makhlokat ko scientific
instruments aur experiments kay results main na daykh
saki hai aur na sabit kar saki hai.
Jinat ki haqeqat ka inkar kardayna koi haqeqat nahi
rakhta kuon kay scientist to abhi tak wabai kisam kay
amraz kay virus aur bacteria tak ko bhi apni ankhon say
nahi daykh sakay jabkay in kay asrat aur karkardagi ko
aak mariz kay jism main daykha aur mehsos kia jasakta
hai. aab sawal payda hota hai kay jab bilkol nazar na
anay walay virus ko mariz kay jismani arzay main
daykha jasakta hai to phir jinat jaysi makhlok ko bhi
asyab zada mariz main mehsos kia jasakta hai, moktasar
yeh hai kay talimat islamia, Quran wa Ahadis, Akwal wa
irshadat Sahaba, akabar oliya umat kay halat wa wakiat ,
seena ba seena milnay wali rawayat aur rozmara kay
chasham deed tajorbat say jinat ki haqeqat waza hai.
Olma e rohaniat kay mutabik jinat ansar e aatish ki aak
4. aysi latif makhlok hai kay jis ki jismani tarkib wa sakht
insan say bohat muktalif hai. ansari jism honay kay
sabab yeh makhlok nazar bhi aasakti hai nahi bhi
aasakti, yeh makhlok har shikal wa rop ko akhtiar karnay
ki salahiat rakhti hai aur is makhlok ki kai kismain hain.
Nabi Pak (SA) ka farman hai kay jinat ki 3 kismain hain:
1, aak kisam jo hawa main orti hai. 2, aak woh kisam jo
sanp aur koton ki shikal main hoti hai. 3, jo safar aur
kayam karti hai.
yehni kuch jinat hawa ki tarah hotay hain jo nazar nahi
aatay, kuch jinat jism rakhtay hain aur kuch khas
jagahon par pay jatay hain.
Olma e rohaniat nay jinat ki saykron aksam ka zikar kia
hai aur har kisam ki alhayda khososiat aur alag alag
wazaif ko tehrir kia hai.
LOGON KO JINAT KA ASAR YA SAAYA KAYSAY LAG
JATA HAI?
Mainay pehlay bataya kay jinat ki kai aksam hoti hain in
aksam main kuch jinat sharir tabiat hotay hain jo logon
ko satatay hain, in ko parayshan kartay hain aur tarah
tarah ki takaleef pohanchatay hain, aur kuch jinat kisi ko
satatay ya tang nahi kartay aur na takleef pohanchatay
hain woh apni he duniya main magan rehtay hain magar
jab koi insan inhain jan bojh kar ya anjanay main takleef
pohanchay to oskay dushman ban jatay hain. aur kuch
jinat kisi jadogar ya aamil kay boray amliat say insan par
sawar hojatay hain.
SHARIR JINAT:
Yeh jinat kisi jaga par apna kabza jamatay hain to wahan
muktalif kisam kay ajeeb wakiat paysh anay lagtay hain,
yeh jinat muktalif sharartay kartay rehtay hain, baz okat
jahan rehtay hain wahan kay rihaishi logon ko khoab wa
baydari main daratay aur khof zada kartay hain, pathar
5. barsatay hain, baz halat main gundagi gira daytay hain
ghar ki cheezon ko tortay phortay hain, kapron aur
samano ko aag laga daytay hain, garz tarah tarah ki
harkatain kartay hain aur insano kay liay zehmat ka
sabab banay rehtay hain. In jinat ko english main
POLTERGEISTS kaha jata hai, Europe aur America kay
olma e rohaniat kay mutabik yeh poltergeists jinat os
jaga ziada attaract hotay hain jahan kunwari larkia hoti
hain, kaha jata hai kay kunwari larki ko raat ko nahanay
kay baad baal khol kar ya tez perfume laga kar chahat
par akayla na sona chahehai.
Jinat ka oraton par aashiq hojana is tarah kay saykron
wakiat miltay hain.
Humaray deen Islam main bhi is tarah kay kai wakiat
hain jaysay:
Aak shair ki biwi ko jin hogaya to is nay wahi jhar phonk
ki jo aamil hazrat kartay hain phir pocha tu mosalman
hai ya yahodi hai ya isai? jin nay is orat ki zebani jawab
dia main mosalman hon to os nay kaha phir tunay meri
biwi say tarz karnay ko kuon kar hilal jan lia main bhi to
teri tarah ka mosalman hon? osnay jawab dia isliay kay
main is ko pasand karta hon, shair nay kaha tu kahan
say aya hai? osnay jawab dia jarjan say, pocha kay tu is
par kuon hamla awar hoa? osnay jawab dia isliay kay
yeh ghar main sar khol kar chal rahi thi to shair nay
kaha agar tu itna gayrat mand tha to iskay liay jarjan say
dupata kuon nahi laya jis say iska sar dhak jata.
Imam Ahmed nay Jabar bin Abdullah aur Abu Naeem
nay Zamrah (R) aur Behaki nay Imam Zain Alabadin say
rawayt ki hai kay Awal khabar Rasool Allah (SA) ki
madina munawara main is tarah pohanchi kay aak
madina ki orat kay sath aak jin ka taluk tha aur woh har
raat is orat kay pas aya karta tha aur aksar janwar
parinda ki sorat ban kar deewar par abayth ta tha jab
6. kholot hojati to apna rop aadmi ki shikal bana kar
sohbat karta tha, aak bar iska ana mokof hogaya chand
roz na aya, aak din akar ba sorat parinda deewar par
baytha, os orat nay kaha kay tujhay kya hogaya jo itni
modad say nahi ata, isnay kaha kay aab tujh say roksat
hota hon mujh say anay ki tawaka mat rakh, Maka main
aak Payghambar payda hoay hain onhonay hum par zina
haram kia hai.
In jinat kay saykron wakiat gaon, shahar yahan tak kay
jadeed mumalik Europe aur America main bhi miltay
hain.
WOH JINAT JO KISI KO SATATAY NAHI:
Yeh woh jinat hotay hain jo verano main rehtay hain aur
apni he zindagi main magan rehtay hain kisi insan ko
tang ya parayshan nahi kartay kuch in jinat main to
insano ki madad bhi kartay hain. yeh jinat janwaron ya
insano kay rop main hotay hain.agar koi insan jan bojh
kar ya anjanay main inko noksan pohancha day to yeh
os insan kay dushman ban jatay hain.
Jo log baz okat kisi saanp ko martay hain aur woh saanp
jin hota hai to dosray jinat saanp ban kar waysay he on
logon par hamla kartay hain aur yeh baat aksar awam
say soni hai.
Humaray apnay gao main aak kala saanp hai jis kay
baray main kaha jata hai kay woh fakiri tabiat ka saanp
hai aur woh logon kay gharon main ata jata rehta hai aur
aaj tak kisi ko dasa tak nahi, wahan kay log isay dodh
pilatay hain, aak humaray hari nay galti say koi aur
saanp samaj kar zor say oski dom par lathi mari jab woh
bil main jaraha tha, os din kay baad is hari ko har jaga
woh saanp kundali maray baytha hoa nazar ata, raat ko
khoab main nazar ata woh hari itna dar gaya kay osay
laga kay aab woh nahi bachay ga woh saanp osay moka
patay he mar day ga. osnay sub gao kay baron ko
7. bataya aur apni galti mani tab gao kay baron nay kaha
kay aab os hari ko saanp say maafi mangni chahehai aur
dodh pilana chahehai, so aysa hari nay kia aur oskay
baad phir kabi woh saanp os hari ko nazar na aya.
Istarah kay kai saanp kay wakiat miltay hain, humaray
deen islam main bhi saanp jin ki rawayat hain jaysay:
Hazrat Atar bin abi raba say rawayat hai kay hum Hazrat
Abdullah bin Umro kay sath masjid Hram main mojod
thay kay aak safed aur siah rang ka saanp aya aur
Kaaba sharif ka saat martaba tawaf kia phir makam
Abrahim kay pas aya goya kay woh nimaz ada kar raha
tha, to hazrat Abdullah bin umro is kay pas ay aur
kharay hokar kaha, Aay saanp! umeed hai kay tunay
umrah kay ahkam poray kar liay hain aab main tumharay
baray main apnay ilakay kay kam aklon say darata hon
kay tumhai katal na kardain tum yahan say chalay jao, to
woh ghoma aur asman ki taraf or gaya.
Dor e Farooqi main aak kafila Haj kayliay rawana hoa
rastay main aak saanp par nazar pari jo tarap raha tha,
os main say mushk, anber ki khushbo arahi thi, thori
dayr kay baad osnay dam tor dia, Ibrahim nami bozrog
farmatay hain kay os kay khushbo dar badan kay sabab
mujay os kay baray main nayk goman kaim hoa aur
mainay aak kapray main lapet kar osay dafan kardia,
phir kafila agay barha aur nimaz magrib kay liay aak jaga
rok gaya itnay main 4 ortain humaray pas ayi, on main
say aak boli aap hazrat main say "omar" ko kis nay
dafan kia hai? hum nay kaha omar kon? woh boli osi
saanp ka nam "omar" hai jisay tum nay dafan kia hai,
Ibrahim farmatay hain mainay kaha osay mainay dafan
kia hai to woh mujh say kehnay lagi, "tum nay aak
tehjod gozar aur bohat ziada rozay rakhnay walay
momin jin ko dafan kia hai isnay Nabi Rasool Allah (SA)
8. ki tarif onki tashrif awari say 400 saal kabal asmano par
suni thi aur yeh osi waqat Sarkar (SA) par eman lay aya
tha", mainay yeh baat son kar Allah ka shokar ada kia
aur kafila chal para, Haj ki sadat hasil karnay kay baad
hum amir almominin Hazrat Farooq Azam (R) ki bargah
main hazir hoay aur saanp wala wakiah sonaya, yeh
sonkar Hazrat Farooq Azam (R) nay farmaya "aap hazrat
nay sach kaha, wakai mainay bhi Sarkar (SA) say os jin
kay baray main sona tha".
Hazrat ibn Akeel farmatay hain humara aak ghar tha jab
bhi log is main sakonat akhtiar kartay thay subha ko
morda pay jatay thay, aak martaba aak magarbi aadmi
aya isnay is ghar ko kiraya par lia aur is ko pasand kia
aur raat gozari aur subha ko sahi salim tha, yeh daykh
kar parosi hayran hoay woh shaks aak mudat tak is
main raha phir kahin chala gaya, os say oskay zinda
bach janay ka sabab malum kia gaya to osnay kaha jab
main raat ko is main raha to isha ki nimaz parhi aur
Quran pak ki kuch tilawat ki, achanak main nay aak
jawan ko daykha jo konway say opar ko nikal raha tha,
osnay mujhay salam kia to main os say dar gaya osnay
kaha khof na karo mujhay bhi kuch Quran pak sikhlao to
main os ko sikhlana shoro kardia, phir mainay os say
pocha kay is ghar ka kisa kya hai? kaha hum mosalman
jinat hain, tilawat bhi kartay hain, nimaz bhi parhtay hain
magar is ghar main aksar bad karon ki sakonat rehti hai
jo sharab ki majalis montaked kartay hain isliay hum
inka gala ghont daytay hain, mainay osko kaha main
raat kay waqat tum say darta hon tum din ko aya karo,
osnay kaha bohat acha phir woh din kay waqat konway
say nikla karta tha, aak dafa woh Quran pak parh raha
tha kay aak mantar parhnay wala darwazay par aya aur
sada lagai kay main saanp, bad nazari aur jin ka dam
karta hon, to jin nay kaha yeh kya cheez hai? mainay
9. kaha kay jhar phonk karnay wala hai, osnay kaha kay
osay bolao to main oth khara hoa aur osko bola lay aya,
to mainay daykha kay woh jin chahat par bohat bara
saanp ban gaya hai, to jawan nay jhar phonk ki to saanp
lotpot honay laga, hitay kay ghar kay darmian main gir
para, to yeh jawan otha kay osko pakar kar apni gadri
main dal lay to mainay osko mana kia, os jawan nay
kaha kya tu mujhay meray shikar say mana karta hai?
phir mainay osko aak asharfi di aur woh chala gaya to
os saanp nay harkat ki aur jin ki shikal main zahir
hogaya laykin woh kamzor hokar pila par choka tha aur
patla hogaya tha, mainay os say kaha tumhai kya hai?
osnay kaha osnay mujhay on isma e mubarka say qatal
kardia mujhay yakin nahi tha kay main chotkara hasil
kar sakon ga, aab jab tum konway say cheekh ki awaz
sono to yahan say chalay jana, chinachay mainay raat
kay waqat awaz soni kay aab tum dor chalay jao.
Ibn akeel farmatay hain is kay baad is ghar main log
rehaish karnay say rok gay. (kitab alfanon, ibn akeel)
Nabi pak (SA) ki saanp jinat kay mutalik ahadis e
mubarka:
Hazrat ibn e Abas (R) farmatay hain kay Rasool Allah
(SA) nay irshad farmaya:
" Saanp jinat say maskh shoda hain jis tarah kay bani
israel bandron aur khanziron ki shikal main maskh hoay
thay".
Khatib nay Jabar bin Abdullah (R) say rawayt ki hai kay
aak bar hum sath Rasool Allah (SA) kay aak safar main
thay aur aak darkht kay talay bethay thay kay aak baray
kalay saanp nay Anhazrat (SA) ki taraf anay laga logon
nay chaha kay osay mar dalain, Aap (SA) nay farmaya
kay osay anay do yahan tak kay Anhazrat (SA) kay pas
10. pohancha aur apna sar Anhazrat (SA) kay kan kay pas
lay gaya phir Aap (SA) nay oskay kano kay pas mo lay
jakar kuch farmaya, baad iskay woh saanp gayab
hogaya kay zamin osay nigal gai, hum nay kaha Ya
Rasool Allah (SA) saanp ko aap nay apnay kano tak
pohanchnay dia humay bohat dar galib hoa tha, Aap
(SA) nay farmaya woh janwar na tha jin tha kay jino ka
bhayja hoa aya tha surah main say kuch ayatain bhol
gaya tha in ayaton ki tehkik kayliay jino nay isay bhayja
tha, tum logon ko daykh kar saanp ki sorat ban kar woh
ayatain poch gaya".
Hazrat Abu Saeed khidri (R) farmatay hain kay Rasool
Allah (SA) nay irshad farmaya:
" Gharon main rehnay walay saanp aur bicho jinat main
say hain jo koi in main say apnay gharon main kuch
daykhay to osko 3 martaba nikal day agar phir woh
wapis ajay to osko katal karday kuon kay yeh shaytan
hai."
Hazrat Kitadah (R) say rawayt hai kay Rasool Allah (SA)
nay bil main peshab karnay say mana farmaya, logon
nay Kitadah (R) say arz kia bil main peshab karnay ki
waja kirahat kya hai? farmaya " kaha jata hai kay jinat
kay rehnay ki jagahain hain".
Duniya main bohat say log jinat ko devta samaj kar onki
ibadat kartain hain jab koi jin rop badal kar kisi insan ki
madad kartay hain to woh jin os insan kay liay devta ban
jata hai.
Hazrat ibn Masood (R) farmatay hain kay insano ka aak
tabka jinat kay aak tabka ki ibadat kia karta tha, Jinat ka
yeh girwoh to mosalman hogaya laykin insan phir bhi
inki ibadat kartay rahai to Allah Pak nay yeh Ayat nazil
farmai:
11. " Yeh log kay jin ko mosharkin (apni hajat rawai ya
mushkil koshai kay liay) pokar rahai hain woh khud he
apnay Rab ki taraf (pohanchnay ka) zaria dhond rahai
hain".
Jinat kay aur bhi kai wakiat humay aur duniya kay
mazhab main bhi miltay hain saanp jinat kay wakiat khas
kar hindu mazhab main ziada miltay hain jisay hindu log
"icha dhari nag" kehtay hain yehni woh saanp jo apni
icha yehni marzi say roop apna badal day.
WOH JINAT JO KISI KALA ILM KARNAY WALAY AAMIL
KAY ZARIAY SAY TAKLIF DAY:
Yeh woh jinat hotay hain jin ko aamil hazrat apnay kabo
main lakar muktalif kisam kay bad aymal sar anjam
daytay hain, in aamilon kay zariay yehi jinat insano kay
sar par sawar hokar inhain pagal bana daytay hain, abad
ghar ya jaga ko veeran karwa daytay hain, do muhabat
karnay walon kay darmian judai wa adawat ki aag
bharka daytay hain, karobar main bandish, olad ka na
hona ya hokar mar jana, mard wa orat kay darmian talak
wa judai, tandorost shaks ka bimar wa zalil hojana,
farmanbirdar olad ka na farman wa sarkash ban jana,
baray ehdon par faiz logon ka ehda wa mortaba say gir
jana, pani wa khon ki barish hona yeh sub kuch jinati
kowaton kay zariay say he amal main ata hai, is tarah
kay saykron wakiat logon ki zibani miltay hain, boray log
jalan, hasad ya dushmani kay tehad he bad aamilon say
miltay hain aur paysay kharch kar kay is tarah kay amliat
karwatay hain, aur jo log in boray amliat kay shikar
hotay hain to in boray asrat ko khatam karanay kay liay
sahi aamil ki khoj main rehtay hain magar bad kismati
say onko aysay thag dhokay baz jali aamil miltay hain jin
kay pas koi ilm nahi hota woh log shobda bazi ya hath ki
12. safai trick dikha kar logon ko bay wakof banatay hain
aur bicharay bholay log jo boray amliat ki waja say
pehlay he hayran wa parayshan hotay hain is tarah ki
tricks daykh kar jali aamil ki bataon main akay bohat
sara paysa kharch kartay hain aur natija yeh nikalta hai
kay thek honay kay bajahai parayshania aur barh jati
hain, logon ka aitebar rohaniat say oth jata hai, in jali
aamilon ki waja say he jo sachay ilm rakhnay walay log
hain badnam hotay hain log inko shak ki nigah say
daykhtay hain.Allah pak humay in jali aamil logon say
panah main rakhay jo payson kay pojari hain.
NAFSIATI BIMARIA:
Kuch logon ko nafsiati amraz bhi hojatay hain jis say
onko doray parnay lagtay hain aur daykhnay say yehi
mehsos hota hai kay jin ka asar hogaya hai, ajeeb see
awazain galay main say nikalna, ankhon kay taray opar
hojana, mo say ral ka nikalna, kapray apnay pharna,
cheezon ko torna phorna, apnay aap ko marna, is tarah
aur bhi kai ilamat hoti hain, mardon aur oraton ko yeh
nafsiati amraz kai wajahon say hotay hain, yeh aksar on
hisas tabiat kay logon kay sath hota hai jo bachpan say
he daray daray ya sehmay say rehtay hain gharilo
masail ki waja say, ya onki zindagi main koi aysa hadsa
hota hai jo kisi ko batatay nahi andar he andar ghottay
rehtay hain ya phir aysay log jo apnay jazbat ko dabatay
hon, is ki waja say doray partay hain aur yeh mardon
say ziada oraton ko aksar partay hain aur hosh main
anay kay baad onko kuch malum nahi hota kay onkay
sath kya hoa tha, yeh sub wahi aamil mehsos kar sakta
hai jo ilm rakhta ho, jali aamil to aysay amraz ko jinat ka
saaya samaj kar mariz ko mar mar kar ya badbo dar
cheezain khila khila kar mariz ko adh moa kar daytay
hain, in kay mutabik mariz ki pitai karnay ya badbo dar
karwi cheezain khilanay say jin jism say nikal jatay hain,
13. is tarah kay bohat say cases hain jin main mariz ki mot
bhi hojati hai.
Allah pak aysay jali thag aamil say bacha ay jo jin ko
nikalnay kay baja ay khud jin ban kar mariz ki zindagi ka
khatma kar daytay hain.
WOH LOG JO DRAMA KARTAY HAIN:
Kuch log aysay bhi hotay hain on par kisi jin ka saaya
nahi hota magar woh jhoot moth ka drama kartay hain
kay on par jinat ka saaya hai, cheezain phaykna , apnay
balon ko bikhray rakhna, kapray apnay pharna, blade
say khud ko zakhmi karna, yeh kay tarah tarah ki acting
kartay hain aur daykhnay walon ko yehi lagta hai kay
isay jin ka asar hogaya hai, aysa aksar sharir tabiat
larkay aur larkia karti hain ya phir woh larkay ya larkia
jin ko ghar walay tawaja nahi daytay woh sub ki tawaja
apnay par hasil karnay kay liay aysa drama kartay hain
aur kuch majbori main aysa drama kartay hain takay
ghar main roz larai jhagra na ho sub ka dhian aak meri
taraf hojay, sharir tabiat larkay aur larkion ko aysa
karnay main maza ata hai, onkay liay yeh aak game hoti
hai aur onko yeh game khaylnay main bara maza ata hai
jab koi jhar phonk karnay wala aamil ata hai to yeh aur
ziada acting kartay hain, chikhtay chilatay hain,
cheezain otha otha kar aamil ko martay hain, zakhmi kar
daytay hain, aur jo aamil ilm rakhnay wala hota hai woh
samaj jata hai kay yeh sub drama hai to woh aamil in
sharir logon ki aysay tarah pitai kartay hain ya karwi
badbo dar cheezain khilatay hain kay woh phir is tarah
ka drama karnay say toba kar daytay hain, bhala kon
chahai ga kay roz inko aamil ki pitai paray subha sham,
shayad is waja say kam ilm log ya jali aamil samajtay
hain kay mariz ki pitai karnay say jin nikal jata hai.
WOH LOG JIN KO SACH MAIN JINAT KA ASAR HOTA
14. HAI:
Jinat kay asrat walay log aysay hotay hain kay jab onko
dora parta hai to onki shikal badal kay khofnak ban jati
hai, agar inko dason log mazboti say pakray rakhain to
os mariz main itni jan ajati hai kay sub ki giraft say nikal
jata hai, mariz ki ankh kay isharon say ghar kay saman
apnay aap girnay aur totnay lagtay hain, kabhi mariz ka
jism apnay aap hawa main opar neechay ochalnay lagta
hai jaysay koi an daykhi taqat yeh sub kar rahi hai, is
tarah ki kai ilamat hoti hain, isi tarah ki ajeeb harkaton
ka hona he jinat kay honay ka paka sabot hai.
DHARO HEALING SERVICE:
Agar khuda na khuwasta aap ki family main kisi ko jinat
ka saaya ho ya jinat ki nazar bad lagi ho, ya ghar main
jinat kay asrat hon ya dokan ya job ki jaga par to mujh
say rabta karain, INSHALLAH main Allah pak kay karam
say aur Qurani ayat, Taweezat wa Wazaif kay zariay aap
ki mushkilat aur tamam gaybi bori taqaton kay boray
asrat aur rikawaton ko door kar don ga.
Allah pak hum sub ko zameeni aur asmani shaytani
balaon kay boray asrat say panah day. (AMEEN)
E-mail: amliyat69@yahoo.com
web site: http://www.amliyat.5u.com
Cell: 03239598124.
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*